Apple Id ya Account kese banaye

Step 1.

 Apple Account banane ke liye niche diye gaye link pr click kare


    yaha pr click karte hi niche diya gaya web page khulega..

Step 2.



ushke baad aapko sabse pehele Create New Apple Id pr click karna hoga.. wah pr click karte hi new window open hogi jo niche dikhaye gaye web page jesi hogi..

Step 3.

 

Ishme Appse jo bhi fill ya bharwaya jata hai wo bharna hai..
1. Sabse pehle aapki koi bhi Id deni hogi jo apple ke liye use karna chahte ho jese (Gmail,Yahoo..etc)
2. Ushke baad aapko apne password daalne honge jo apple Id main use karna chaoge ishme password first word capital or ushke baad jo aap dalna chaho or bich main number key use karni hogi jese (MynameisLokesh,3535) aise apne password dalne honge or niche confrom password main same password dalenge....
3. Uske baad first name main aapka name or last name main wo dalana hoga jo aap apne naam ke piche lagate hai jese (Lokesh Kumar)
4. Ushke Baad Date of birth (date/manth/year)
5.  Fir aapse 3 qustion puche jayenge jo aap apni marzi se use kar sakte ho..
6. Ushke baad apni country ka naam pucha jayega jese ( INDIA , AMERICA... etc..)
7. Fir niche 2 box honge jinme aapko right ka nisan lagana hoga jo box main lag rahe hai..
8. Fir niche ek captcha hoga jo diye huye box main dalana hoga...

Step 4.

 
Ushke Baad aapse Email id ke verification code mangega jish se aapki id ko verify karega jo aId aapne apple ke liye use ki hai ush id pr 6 digit ka code jayega jo diye huye box main dalna hoga... udahran ke liye niche dekhe...


Step 5.

Ushke Baad Aapko Verify par click karna hoga..


Step 6.

Fir Ushke Baad aapke pass new window open hogi jise main aap apni details check kar sate ho or change bhi kar sakte ho..


Security main Edit par click kar ke aap apne account main Mobile no. or apne account ko scure bana sakte ho...

Ab aapka apple account bankar teyar hai jishe aap apne apple account main use kar sakte ho...

Comments

  1. step 3 wali window open nahi ho rahi mai computer me ye step folow kr rha hu first two steps to follow ho gye hai

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How To Use E-Library Application and How to create SSO ID ( ई-लाइब्रेरी एप्लीकेशन का उपयोग कैसे करे और एस एस ओ आईडी कैसे बनाये )

Youtube Se Video Download Kaise Kare

Facebook Par Page Kese Banaye